Wednesday, 30 October 2013

KA'ABTULLAH KI TAMEER

BINAA’ UL KA’BAH
Jaisa ke pehle Arz kiya gaya ke Bani Jurham us waqt Makkah Muazzama me aakar aabad hue the, jab Hazrat Ismail alaihis salam aur unki Waledah ko Hazrat Ibrahim alaihis salam Sunsaan Chatyal maidan me Chord kar chale gaye the jab Hazrat Ismail alaihis salam bade hue to dono Baap beton ne mil kar Ka’bah shareef banaya, Allah Ta’ala ne Hawaa bhej di jisne Ka’bah Shareef ki Bunyaden Zaahir karden jo Toofaan e Nooh me dab gayin thiin aur wahan ek telaa ban gaya tha.
Phir Quraish e Makkah ke daur me Ka’bah Shareef ki Deewaren Munhadim hogayin to Quraish e Makkah ne phir se banane ka Irada kiya. Aapas me kehne lagey ke ye ALLAH ka ghar hai isme Sirf HALAAL maal lagaya jaye koi paisa Sood ka ya Gunah se Haasil kiya hua ya Zulman kisi se liya hua Maal uski tamer me na lagaya jaye. Jab maal jama’ kiya to Halaal maal itna jamaa na kar sakey jisse poora Ka’bah Shareef bana lete lihaza unho ne Ka’bah Shareef ka ek hissa Chord diya yani Imarat me na liya jise HATEEM kaha jata hai. Tamer e Ka’bah ke liye Jab Pathar utha utha kar laye ja rahe the to us Amal me Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam bhi apne Chacha ABBAS BIN ABDUL MUTTALIB ke sath shareek the, us waqt Ap ke Kandhon par koi kapda nahi tha khaal chilne ka andesha tha. Hazrat Abbas razi Allahu anhu ne kaha ke ye jo tumhara Teh Band hai usey Kaandhe par rakhlo taake Muntaqil karne me aasani ho, AP sallallahu alaihi wasallam ne Apna Teh Band kaandhe par rakh liya to Sharam ke maare behosh hokar gir pade aur Aankhen oopar ko uthi hui rehgayin. Ap sallallahu alaihi wasallam ne Chacha se kaha ke laao mera Teh Band kahan hai Chunanche Ap sallallahu alaihi wasallam ne TehBand baandh liya us ke baad kabhi bhi Baghair TehBand nahi dekha gaya.(SAHEEH BUKHARI SAFHA 215,540)
Hamara Shaikh Hazrat Maulana Zakarya Sahib rahmatullahi alaih ne iski ek Hikmat bayan farmayi aur wo ye ke Allah Ta’ala ne Haazireen ko Ap sallallahu alaihi wasallam ka poora Jism dikha diya taake (nabuwwat se sarfaraz hone ke baad) Aeteraz karne wale Dushman yun na kahen ke Jismani taur par Apke andar koi aib hai jaise ke Bani Israil ne Hazrat Moosa alaihis salam ke bare me kaha tha ke Ye Nange hokar sab ke samne Ghusl is liye nahi karte ke inke Jism me Aib ki cheez hai Allah Ta’la ne pathar ko Hukum diya to wo unke kapde lekar bhaag gaya, wo uske peeche daude to sab ne dekh liya ke Jismani taur par bhi unke andar koi Aib nahi hai isko Suratul Ahzaab ki ayat 69 me bayan farmaya hai, Hazrat Moosa alaihis salam ka marz jismani se Mubarra hona Bani Israil ke aetraz ke baad zaahir kiya gaya aur Hazrat Khatimul Mursaleen Ashraful Ambiya sallallahu alaihi wasallam ki Bara’t Anil Aib Fil Jisme Nabuwwat ke sarfaraz hone se pehle hi naazireen ko maloom hogayi. WALLAHU ALEEMUN HAKEEM
Maal Jama karne ke baad Quraish ne Ka’abah Shareef ki tamer shuru kardi aur jab Imarat itni oonchi hogaya ke HAJR E ASWAD ko uski Jagah rakha jasake to aapas me is baat par Jhagadne lage ke HAJR E ASWAD ko uski jagah par Kaun rakhe. Har Qabeelah Khahishmand tha ke hamara aadmi is Khidmat ko Anjaam de jab Jidaal aur Khisaam ne Tool pakad liya to Masjid me jama hue aur bahmi mashwara se ye tai paya ke Kal jo shakhs sabse pehle Masjid me daakhil ho wo jo faisla kare usko tasleem kar liya jaye. Jab kal ka din aaya to Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam sab se pehle Masjid me daakhil hue jab ap sallallahu alaihi wasallam ko dekhta to kehne lagey هذا الامين رضيناه(ye shakhs Ameen hai Hum iske Faisle par raazi hain) jab Ap sallallahu alaihi wasallam Masjid me andar tashreef  laye to Ap sallallahu alaihi wasallam ko bataya ke Hamara ye Jhagda hai aur Hum apke faisle par Raazi hain. Ap sallallahu alaihi wasallam nefarmaya ke Ek Kapda laao Ap sallallahu alaihi wasallam ne Kapda bicha kar Hajr e Aswad ko uske beech me rakh diya aur farmaya ke Har Qabeele ke afraad iske ek ek goshey ko pakad len aur sab iko utha kar Hajr e Aswad ki jagah par le jayen. Chunanche sab ne aisa hi kiya jab wahan pohanch gaye to Ap sallallahu alaihi wasallam ne Apne Dast e Mubarak se utha kar uski jagah Diwaar me rakh diya iske baad Ka’bah Shareef ki mazeed tameer shuru kardi. Us waqt Ap sallallahu alaihi wasallam ki Umar 35 saal thi.
(Seerat Ibne Hisham ma’aa Alrauz al anf safha 127-132)
Hazrat Ayesha razi Allahu anha ne bayan kiya hai ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam  ne Mujh se Khitab hokar farmaya ke Teri Qaum ne Jab Ka’abah ko banaya to IBRAHIM alaihis salaam ki poori Bunyaad par banane se Qaasir reh gaye(aur HATEEM ko Ka’abah Shareef ki Imarat me Shamil nahi kiya) Maine Arz kiya Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam Ap isko poori bunyaadon par dubaraha kyu nahi banadete. Ap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya agar ye baat  na hoti ke Teri Qaum( Quraish) ke log naye naye Musalman hue hain to Mai phir se tamer kardeta aur Ibrahim alaihis salam ki bunyadon par poora kardeta (chaunke ye log naye naye Musalman hue the isliye andesha hai ke Ka’abah Shareef ko agar Munhadim kar ke dubara phir se banaya jaye aur Hateem ko daakhil kardiya jaye to ye log yun kahenge ke is Nabi (sallallahu alaihi wasallam )ne Ka’abah ko giradiya aur usko badal diye. Is liye Mai aisa nahi karta.
Hazrat Abdullah bin Omer razi Allahu anhuma ne Hazrat Ayesha razi Allahu anha ki is hadees se ek Fiqhi Masla Mustambat kiya hai wo farmate the ke Chaunke Ka’abah Shareef ke andar ke dono goshey (jo hateem me hain) haqeeqi goshe nahi hain asli Imarat ke darmiyan hain (poori Imarat me Hateem Shamil karlena tha) is liye Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne in dono Goshon ka Istilaam nahi kiya.
(Saheeh Bukhari safha 215, 477)
Hazrat Ayesha razi Allahu anha ki riwayat kardah Hadees unke Bhanjey Hazrat Abdullah Bin Zubair Razi Allahu anhuma ko maloom hui to unho ne Zamana e Khilafat me Ka’abah Shareef ko Hazrat Ibrahim alaihis salam ki Bunyaadon par bana diya, Phir Hajjaj Bin Yousuf ne Hazrat Abdullah Bin Zubair Razi Allahu anhuma ko Qatal karwa diya to Ka’abah Shareef ko girakar phir se usi tareekhe par banadiya jaise Quraish ne banaya tha yani HATEEM ko Imarat se bahar nikal diya . chunanche Aj tak Ka’abah Shareef usi tarah bana hua hai, (Hateem Ta,eer e ka’abah se kharij hai) Lekin Ka’abah  Shareef ka Juz hai chat hone na hone ka Farq hai isme Musalmano ke lye Ye aasani hogaya ke Ka’abah Shareef ke chat wale Hisse me Daakhil hone ka mauqa na mile to Hateem me dakhil hojaye kyun ke Ka’abah Shareef ka Hissa hia albatta Namaz padhte waqt ye Khayal rakha jaye ke Imarat wale hisse ki taraf  rukh rakha jaye.
لانه أمر التوجه اليها في النص القران المتواتر و خبر سيدة عائشة رضي الله عنها خبر الواحد فيحتاط في التوجه القبلة ولا يقتصر علي التوجه الي الحطيم فقط
jazakALlah khair

Contd Insha Allah

 www.facebook.com/LifeOfMuhammad.S.A.W

No comments:

Post a Comment