Monday, 23 September 2013

MUHAMMAD NAAM KI TAJWEEZ, RAZA'AT AUR WALEDA AUR DADA KA INTEQAL

DADA JAAN KA KHUSHI SE SARSHAAR HONA AUR MUHAMMAD Sallallahu alaihi wasallam NAAM TAJWEEZ KARNA :-
          Huzoor Sarwar e Aaalam sallallahu alaihi wasallam ke Walid Ki wafaat to pehle hi hochuki thi jab Ap sallallahu alaihi wasallam ki Wiladat hui to Ap sallallahu alaihi wasallam ki Waledah ne Ap sallallahu alaihi wasallam ke DADA ABDUL MUTTALIB ko basharat di ke Ap ke bete ka Sahebzaadah paida hua hai. Khabar sun kar ABDUL MUTTALIB bhot Ziada khush hue aur unho ne Apka naam MUHAMMAD (sallallahu alaihi wasallam) tajweez kiya. UMME AIMAN jinka naam BARAKAH tha HABSHAH ki rehne wali thin aur Apke Walid Janab ABDULLAH ki Baandi thiin unho ne APki Khidmat shuru kardi jiski Naumaulood Bache ko Zaroorat hoti hai.(UMME AIMAN RAZI ALLAHU ANHA NE AP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KA ZAMANA E NABUWWAT PAAYA AUR ISLAAM QABOOL KIYA)

RAZAA’AT:-
          Awwal to Ap sallallahu alaihi wasallam ne Apni Waledah AMENA BINTE WAHAB ka Doodh piya phir kuch din SUWAIBAH ne APko Doodh pilaya jo Apke Chacha Abu LAHAB ki baandi thi. Apke Chacha Hamzah Bin Abdul Muttalib ne bhi Suwaibah ka doodh piya tha. Ek martabah Jab Hazrat Hamzah razi Allahu anhiu ki Ladki se Nikah karne ka mashwara diya gaya to Ap ne farmaya ke  wo to Mere Doodh Shareek BHAI hain unki ladki se Mera Nikaah nahi hosakta.(SAHEEH MUSLIM)
          Haleemah Sa’diya ne bhi Ap sallallahu alaihi wasallam ko Doodh pilaya, apne Gaau me sath le jakar rakha Doodh bhi pilaya aur parwarish  bhi ki. Us zamane me Shahar ke log Apne Bachon ko Parwarish ke liye Dihaat ki Khawateen ko de diya karte the wo Doodh bhi pilaatin aur parwarish bhi karti thin, is tarah Bache Dihaat ki Aab o Hawaa paakar Tandrust  bhi rehte the, aur Khaalis Faseeh Arabi bhi seekh lete the. Haleemah Sa’diyah ke paas Ap sallallahu alaihi wasallam ne 5 saal ki Umar tak parwarish paai. Haleemah Sadiyah Ghareeb Gharane ki Aurat  thin Jab Ap sallallahu alaihi wasallam ko Doodh pilane ke liye gayin to Ap sallallahu alaihi wasallam ki Barkat se maala maal hogayin.(SIFATUS SUFOOH 1/16)
SHAQQ E SADAR :-
          Haleemah raz ke paas Ap Sallallahu alaihi wasallam tashreef rakhte the ke us Arse me Shaqqe Sadr ka yani SEENE MUBARAK Chaak karne ka waqia pesh aya, Ap Sallallahu alaihi wasallam apne Doodh Shareek Bhaiyon ke sath Basti se baher bhi chaley jaate the. Ek martaba aisa hua ke Ap Sallallahu alaihi wasallam Basti ke Qareeb aabadi ke peeche bhaiyon ke sath Bahar nikle hue the ke Safed Kapde wale 2 Aadmi Aaye ( Ye Dono Farishte the) unho ne Ap Sallallahu alaihi wasallam ko Litaya aur Ap Sallallahu alaihi wasallam ka Seena Mubarak Chaak kar diya usme se koi  Cheez nikali aur kaha ke ye Shaitan ka Hissa hai , Ap Sallallahu alaihi wasallam ke Doodh Shareek  bhai ne apni Waledah ko aakar bataya wo apne Shauhar ke sath daudi hui aayin Dono Miyan biwi Ap Sallallahu alaihi wasallam se lipat gaye dekha ke Ap Sallallahu alaihi wasallam ka Rang badla hua hai poocha ke Beta Kya hua Ap Sallallahu alaihi wasallam ne poori kaifiyat batayi.
(MISHKAAT pg 551, MUSLIM, Seerat Ibne Hishaam)
Ye SHAQQE SADAR pehli baar hua, iske baad MERAJ ki raat me Shaqqe Sadar ka waqia pesh aaya.

WALEDAH KI WAFAAT:-

          Abhi Ap ki Umar Shareef 5 Saal thi Apki waledah Ap ko Hamraah lekar Madina Munawwar tashreef le gayin wahan apke Walid Abdullah ke nanhiyaal ki janib se rishtedaar the wahan Qiyaam karne ke baad jab Wapis hui aur Maqaam e ABWAA’ me pohancheen ( jo us waqt MAKKAH MUAZZAMA ke raaste me padta tha) wahan unki WAFAAT hogaya , UMME AIMAN bhi sath thiin wo Apko utha kar le gayin. Makkah Muazzama pohanch kar barabar Apki Khidmat karti rahin aur Ap ke Dada ABDUL MUTTALIB ne apko apni Kifalat me le liya. Apki tarbiyat aur dekh bhaal aur Lutf o Meherbaani me koi kasar nahi chordi. Jab apki Umar Shareef 8 saal hogaya to ABDUL MUTTALIB ki bhi wafaat hogayi . unke baad apko apke Chacha ABU TALIB ne apni Kifalat me leliya unho ne badi shafaqqat ke sath apki parwarish ki.

No comments:

Post a Comment