Sunday, 15 September 2013

WILAADAT BAA SA’AADAT

WILAADAT BAA SA’AADAT
Abhi Ap sallallahu alaihi wasallam apni Waledah ke Batan Mubarak hi me the ke Ap sallallahu alaihi wasallam ke Walid ki Wafaat  hogaya jo ke tijarat ke liye Mulk e Shaam gaye hue the, wahan se Wapis hote hue Madinah Munawwara  me Qabeela e Banu Najjar me Qiyaam pazeer the yahin wafaat paayi aur Yahin Dafan hue.
          Ap sallallahu alaihi wasallam ki Wiladat Makkah Muazzama me Yaumul Isnain yani peer ke din hui jiski Tasreeh khud Hadees e Marfoo’ me warid hui. Ap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya
ولدت يوم الاثنين وفيه انزل علي(رواه مسلم)
Tarjuma: mai Peer ke Din paida hua hun aur us din mujh par (pehle) WAHII naazil ki gayi.
Ye Rabi Ul Awwal ka mahina tha. Mashhoor ye hia ke 12wi Tareekh ko Ap sallallahu alaihi wasallam ki wiladat hui. Ek Qaul 8 Rabi Ul Awwal ka hai aur ek 9 Rabi Ul Awwal ka bhi hai. Sann Eeswi ke hisab se jo Tareekh Ap sallallahu alaihi wasallam ke Wujood se sarfaraz hui wo 20 April 571 CE(Current Era) batayi jati hai, isi Saal Hathi walon ne KA’ABAH Shareef par Hamla kiya tha is liye yun bhi kaha jata hai ke “AAMUL FEEL” me Ap sallallahu alaihi wasallam ki Wiladat hui.
Seerat ki kitabon me likha hai ke Jis raat Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki Wiladat hui KISRAA( SHAAH E FARAS) ke mahellaat  ki bunyaaden hil gayin aur unme Shigaaf pad gaye aue uske kuch Jharokey toot gaye, haalanke Ye Mahel bada mazboot banaya gaya tha.
Idhar Kisraa ne apne Mahel ko Larazte aur uske Jharokon ki girte dekha jisse wo Sakht ghabraya hua aur Khaff zadah tha magar is khayal se ke apni kamzori zaahir na ho usne sabar se  kaam liya aur Subah ko is waqia e ka kisi se zikr nahi kiya magar phir use mehsoos hua ke iski Ghabrahat aur pareshani itni badh gayi hai ke wo is ma’aamle ko apne Fauji Afsaron aur Bahadur Sardaron se chupa   nahi sakta chunanche usne un sab sardaron ko darbar me haazir hone ke liye kehla diya. Uske baad KISRAA NAU SHREWAAN (NAAM HAI) ne apna TAJ sar par pehna aur Shahi Takht par jakar baith gaya aur Sardaron ko Ittelaa karadi. Jab sab jama hogaye to usne unse kaha:
“Kya tumhe maloom hai ke Maine tum logon ko kyu bula;ya; hai”?
Darbaryion ne kaha ke nahi hame maloom nahi hai Jahab hi batalyenge. Abhi wo log ye baaten kar hi rahe the ke Badshah (ke paas kisi Doosre Ilaqe se) ek Khat aya jisme Ittela di gayi thi ke Raat ko hamare Aatish kadon (yani Ibadat Gaahon) ki AAG bujh gayi, KISRAA ke paas ek Khat Iliya (jagah ka naam) ke governor ka bhi aaya ke Raat Waadi SAmadah ka rasta (Zalzale ki wajeh se) phat kar khatm hogaya. Neez ek Khat Taabriya ke Governor ke paas se aaya ke Darya e Tabriya me achanak paani ka Bahao band hogaya (in me se har Haadsa usi raat me pesh aaya jisme Huzoor sallallahu alaihi wasallam paida hue aur ye saari alamaten Apki paidaish ki wajeh se zaahir hui) Chunanche KISRAA ko ab tak apne hi Waqie ka ranj o Gham kam nahi hua tha ke Achanak ye sab Andohnaak Khabren milin jisse uske Gham aur Ghabrahat me aur Izafa hogaya. Aakhir KISRAA ne (ye sabk Khabren milne ke baad) Haazireen ko wo waqia sunaya jo Khud usko Pesh aya tha aur jisse wo Bhot Ziada Khauffzadah aur Ghabraya hua tha , Mahel ka Larazna , usme Shigaaf pad jana air 14 Khidkiyon ka baghair kisi kamzori ke gir panda, ye saari baaten sun kar Mobzaan yani RAAHIB  ne kaha:
“Khuda Badshah ko Salamat rakhe maine bhi is raat ko ek Khwaab dekha tha.”
Us waqt to IRAN ke Shahi Mahel ke Jharokey hi gire the aur daraden hi padi thin . phir jab Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne Badshahon ko Khutoot likhe to us Zamane ka jo KISRAA yani Iran ka badshah tha usne Huzoor sallallahu  alaihi wasallam ka WAAL naamah phard diya tha. Ap sallallahu alaihi wasallam ne uske liye BAD DUAA kardi jiski wajeh se uski saltanat tukde tukde hogaya. KISRAA ke mahel ki daraden pad gayi thin uske sath ye bhi hua ke Raat ko Faaris ke tamam Aatishkadon ki Aag bujh gayi ye log Aag ke Pujari the, ye Aag Aatishkadon me 1000 saal se jal rahi thi. Neez us mauqe par Darya e Saadah ka paani sookh gay goya ke isme Kabhi pani tha hi nahi, haalanke Darya bhot Ziada lamba Chauda tha.(SEERAT E HALABIYA)
Hazrat Abu Huraira razi Allahu anhu se riwayat hai ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke
“KISRAA Halaak hojayega to uske baad KISRAA na hoga aur QAISER zaroor Halaak hojyaega uske baad Qaiser na hoga. Aur zaroor tum unke Khazane FEE SABEELILLAH Kharch karoge.”
(MISHKAATUL MASABEEH SAFHA 466, BUKHARI O MUSLIM)

No comments:

Post a Comment