Tuesday, 24 September 2013

SHAAM KA DOOSRA SAFAR

SHAAM KA DOOSRA SAFAR 

          Hazrat Khadeejah razi Allahu anha ek Bewa (widow) Khatoon thii Quraish me Badi Izzat dar thiin aur Maaldaar bhi , Unke Walid ka naam Khwailid tha. Ye Makkah walon ko tijarat ke liye maal dekar bheja karti thiin jiska matlab ye tha ke Mera maal le jaao jo Nafa(profit) hoga usme se itna tum lena itna mujhe dena, Tijarat ki is Qisam ko MUZARIBAT kaha jata hai, Khadeejah razi Allahu anha ne Ap sallallahu alaihi wasallam ki SACHCHAI aur AMANAT DAARI aur Buland Akhlaaq ke Ahwaal suney to Ap sallallahu alaihi wasallam ke paas khabar bheji ke ap bataur Muzaribat Mera maal Mulk e Shaam lejayenge, sath hi ye bhi kaha ke Apko Doosre taajiron ke muqable me dugna(double) nafa dungi. Ap sallallahu alaihi wasallam ne manzoor farma liya aur Khadeejah razi Allahu anha ka Maal lekar Mulk E Shaam ke liye rawana hogaye. Khadeejah razi Allahu anha ne Apke sayh apna ek Ghulam bhi bhej diya jise MAISARAH kaha jata tha, Shaam jate hue raaste me BUSRA ek jagah ayi wahan ek Darakht ke saaye me AP ne Qiyaam farmaya. Us jagah ek Nasrani Raahib “NISTOORA” naami ka SAUMA’AA yani Girja tha. Usne Maisarah se daryaft kiya ke ye Kaun shakhs hai jisne Darakht ke neeche Qiyaam kiya ? Maisarah ne kaha ke ye Ahle Haram me se ek shakhs hai jo Quraish khandaan me se hai kehne laga ke Ye Shakhs Nabuwwat se sarfaraz kiya jane wala maloom hota hai.
          Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam Maisarah ke sath Mulk e Shaam pohanch gaye. Wahan Khadeejah razi Allahu anha BiBi ka maal farokht kiya aur tijarati zaroorat se mutalliq jo munasib jaana wo wahan se maal khareeda jab Shaam se wapis ho rahe the to Maisarah ne Ajeeb manzar dekha aur wo ye ke Ap sallallahu alaihi wasallam apne Oont par sawar hain aur jab dopahar me Sakht garmi hoti hai to 2 Farishte Ap sallallahu alaihi wasallam par Saaya karte hain. Jab Makkah Muazzam pohanche aur Bibi Khadeejah razi Allahu anha ko Maloom hua ke Jo maal legaye the wo bhi Khoob Ziada nafe(profit) se farokht hua hai aur jo Maal wahan se Khareed kar laye wo bhi Dugna nafa par farokht hogaya aur Maisarah ne Khadeejah razi Allahu anha ko wo baaten batayen jo Nistoora Raahib ne batayi thiin aur Farishton ka saaya karna bayan kiya aur Khadeejah razi Allahu anha ne khud bhi ye manzar dekha ke jab Ap sallallahu alaihi wasallam dopaha ke waqt Makkah Muazzam me daakhil hue to 2 farishte ap sallallahu alaihi wasallam par Saaya kiye hue hain to Bibi Khadeejah razi Allahu anha ne Ap sallallahu alaihi wasallam ko NIKAH ka paigham bhej diya.

No comments:

Post a Comment