Bismillahir Rahmanir Raheem
Nahmaduhu wa Nusalli ala Rasoolihil kareem.
Makkah Muazzama Arab ka Mashhoor
shahar hai iska Doosra naam “BAKKAH”
(BAA ke sath) bhi hai aur Teesra naam Ummul Quraa hai ye teeno naam Quran
Majeed me warid hue hain. Hazrat Ibrahim alaihis salaam jo BAABUL (IRAQ) ke
qareeb kisi jagah ke rehne wale the unho ne apne ilaqe ke BUTT paraston ko
tauheed ki dawat di , Shirk ki qabahat o Shina’at bayan farmai apne Baap ko bhi
TAUHEED ki Talqeen farmayi lekin Qaum ne aur unke Walid ne ye Dawat Qabool na
ki jab dekha ke log Butt parasti chordne wale nahi hain to wahan se HIJRAT
farmakar PHALASTENE ke Ilaqe me aagaye unki ek Biwi SAARAH (jo unke Chacha ki
beti thi) usko sath lekar chale to Raste me ek Zaalim badhshah ne unko pakadwa
kar apne paas bulwaliya , jab Bad Niyyati se un par Hath daala to usey Daura
pad gaya aur Paau maarne laga. Kehne laga Mere liye Dua karo ke Mai theek hojau
mai tumhe chord dunga. Unho ne Dua kardi, uske hath paau theek hogaye jab
waapis jaane lagin to Unke sath ek Baandi kardi uska naam HAJERAH tha.(SAHEEH
BUKHARI safha 295 aur 474) Hazrat Ibrahim Alaihis salam ne unse Nikah bhi
karliya dono Biwiyon ko lekar Phalastene pohanche, Hazrat Saarah Alaihias salaam
se Hazrat Ishaaq alaihis salaam paida hue jinke Bete Hazrat Yaqoob alaihis
salaam hai unhi ka Laqab ISRAEEL tha aur BANI ISRAEEL sab unki aulaad hain.
Hazrat Hajerah se Ismail Alaihis salaam paida hue , RABBUL AALAMEEN ka hukum
hua ke Ismail aur Unki waleda ko Arab me chord aao. Woh dono ko apne hamraah
laaye aur Makkah ki sar Zameen me Kabah Shareef ke Qareeb chord kar chale gaye
. shahar Makkah us waqt sumsaan maidaan tha , pahadon ke darmyan khaali jagah
padi thi , Kaabah Shareef jo unse Pehle FARISHTON ne phir Hazrat Adam Alaihis
salaam ne banaya tha uski Imarat bhi maujood na thi, Kaabah Shareef ki
Bunyaaden Toofan e Nooh ke mauqe par MITTI me chup gayi thii.
No comments:
Post a Comment