Chaunke sarzameen e
Makkah me Bani Jurham hi aabad the is liye KA’ABAH Shareef ki dekh bhaal bhi
unhi ke Zimme thi yahi log Ka’abah Shareef ke mutawalli the aur Shahar Makkah
ki sardari bhi inhi ko mili hui thi lekin jab Bani Jurham ne sarkashi ikhtyar
karli to Bani Khaza’aa ne faisla kiya ke Bani Jurham se Jung ki jaye aur unhe
Makkah se Nikal diya jaye chunanche unho ne aisa hi kiya. Usse pehle Bani Jurham
ki is sarkashi ki saza me is qaum par ek aisa Keeda musallat kar diya gaya jo
us keede ke mushabeh tha ko Oonto aur Bakriyon ki Naak me hojata hai. Us bimari
ke natije me itni barbadi hui ke ek hi raat me Bani Jurham ke 80 admi halak
hogaye jo sab ke sab pukhta kaar o Tajurbakaar the, is tabahi aur Makkah ki
sardari chin jane ke baad jo log baqi bache the wo sab AMR IBNE HARS JURHAMI ke
sath YEMEN ki taraf chale gaye AMR BIN HARS Bani Jurham me wo aakhri aadmi hai
jo Makkah ka Sardar hua , Makkah ki sardari chin jane ka Bani Jurham ko
zabardast gham tha aur wo is par Sakht malool aur ranjeedah the.
Jab Bani Jurham ka iqtedar khatm hua
to Bani Khuza’aa ne iqtedar sambhal liya to Khaan e Ka’bah ki tauliyat aur
doosre Ohdey unhi logon ko mil gaye. Un Ohdon ke ye naam hain
SIQAYA , RIFADAH, HIJABAH,
DARUN NADWAH, LAWAA’(yani Jhanda Uthana ) Qiyadat.
Mansab e Siqaya se muraad Haajiyon ko ZAMZAM ka Paani pilana hai aur Mansab e Rifadah Haj ke Zamane me
Logon ko Wapisi tak unke liye Khaane ka intezaam ko kaha jata tha aur Hijabah
se murad Ka’abah Shareef ko Kholne aur Band karne ka Mansab hai aur Darun Nadwah
se wo Imarat murad hai Jahan Quraish ke log apne Muamlaat ke mutalliq Mashwara
karne ke liye jama hua karte the. Mansab e Siqayah , Mansab e Rifadah aur
Mansab e Qiyadah Bani Abde Munaaf ko Haasil the aur mansab e Hijabah aur mansab
e Liwaa’ Bani Abdul Daar ke paas rahe.
No comments:
Post a Comment