MAKKAH MUAZZAMA ME QIYAAM:
Sa’ee
se farigh hokar Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne Ihraam nahi khola kyun ke
Ap sallallahu alaihi wasallam ka Haj Qiraan tha Albatta Sahaba Ikraam razi
Allahu anhum ko Halaq ya Qasar kara kar Ihraam kholne ka hokum farmaya aur
farmaya ke agar Mujhe pehle se Who Baat maloom hoti jo Baad me maloom hui to
mai Hadii sath na lata.(ZAADUL MUAAD 2/233)
4 Zil
Hijjah se 8 Zil Hijjah tak Ap sallallahu alaihi wasallam ne Makkah Muazzamah me
hi Qiyaam farmaya aur usi Qiyaam ke Dauraan Ka’abah Shareef ke Darwaze par
Khutbah bhi diya.
MAKKAH MUAZZAMAH SE
MINAA KO RAWANGI:
8 Zil
Hijjah ki Subah ko Suraj buland hojane ke baad Huzoor sallallahu alaihi
wasallam apne Sahaba razi Allahu anhum ke sath Minaa ki taraf rawana hue . mina
me Ap sallallahu alaihi wasallam ne Zohar , Asar, Maghrib aur Ishaa ki Namazen
ada farmayi aur Raat ko bhi wahin Qiyaam farmaya(ZAADUL MU’AAD 2/233)
Riwaayaat se maloom hota hai ke Huzoor sallallahu
alaihi wasallam ne Yaumu Tarweeha yani 8 Zil Hijjah ko ek Khutbah bhi diya jis
me Logon ko Manasik e Haj ki taleem di(yani Haj ke masael aur uska tareekha)
(UYOONUL ASAR 2/362)
9 ZIL HIJJAH, WUQOOF E
ARAFAT:
9 Zil
Hijjah ko Namaz e Fajr ada karne ke baad jab aftab tuloo’ hogaya to Ap
sallallahu alaihi wasallam Arafaat ki taraf rawana hogaye . Hazraat e Sahaba
Ikram razi Allahu anhum Talbiyah aur Takbeer padhte hue Sarwar e Kaunain
sallallahu alaihi wasallam ke sath Maidan e Arafat me pohanche. Arafaat ke
Mashriqi janib ek Maqaam tha jisko NIMRAH kehte the. Ap sallallahu alaihi
wasallam ne Hukum diya ke Mera Khaimah
wahin nasab kiya jaye ( ab us maqaam par
badi Wasee’ o ‘Areez Masjid Masjid e Nimrah ke naam se Tameer kardi gayi hai
jahan Imam e Haj Khutabh deta hai).
Sooraj
dhalne yani Namaz e Zohar ka waqt hone tak Ap sallallahu alaihi wasallam ne
yahan Qiyaam farmaya uske baad Ap sallallahu alaihi wasallam apni Oontni par
sawar hokar Batan e Waadi me tashreef laaye aur Jabl e Rahmta ke paas Oontni
par baithe hue Khutbah irshad farmaya jo Tareekh e Islam me Khutbah Hajjatul
wadaa’ ke naam se mashhoor hai.
No comments:
Post a Comment