BI’R E
ZAMZAM KI KHUDAI:
Jaisa ke Pehle Arz kiya gaya ke paani
Khatm hone ki wajeh se Hazrat Ismail alaihis salam ki Waledah KA’ABAH Shareef
ke Qareeb jis jagah apne bache Ismail ko chord kar paani ki talash me SAFA aur
MARWAH par aana jana kar rahi thin usi waqt Hazrat Ismail alaihis salam ke
Qareeb hi ZAMZAM ka chashma Jari hogaya tha baad me ye Chashma Kunwan bana diya
gaya. Mukhtalif haalaat guzarte gaye yahan tak ke ye Kunwaan Mitti se bhar gaya
na sirf Mitti se bhargaya balkeh uski Jagah bhi Na Maroof hogaya thi.
Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke
DAAD ABDUL MUTTALIB BIN HASHIM ne Khwab me dekha ke BI’R E ZAMZAm ke khodne ka hokum
horaha hai jab 3 Raat Yahi khwab dekha to jagah Maloom karne ki fikr hui, Jagah
bhi unhe Khwab hi me bata digayi . unho ne alpne bete Haaris Bin Abdul Muttalib
ko lekar Kunwan Khodna Shur kiya yahan tak ke Poora Kunwan Khod diya jab paani
Nazar aagaya to Neeche se Wahin andar andar Chashma phoot pada. Abdul Muttalib
ne ALLAHU AKBAR kaha kyun ke Abdul Muttalib ke hathon se ye jam anjaam paya tha
is liye unhi Nasal me ZAMZAM ki dekh bhaal aur Nighedasht baqi rahi.
Hajjatul Wada ke mauqe par Rasoolullah
sallallahu alaihi wasallam TAWAAF karne ke baad ZAMZAM ke qareeb tashreef laye
aur farmaya ke
“Aye Bani Abdul Muttalib laao pani do,
sath ye bhu farmaya ke agar tum par ghalib na hojate to mai bhi tumhare sath
dol se paani kheencne me Shareek hojata , is mauqe par ZamZam ka pani Ap
sallallahu alaihi wasallam ne Khade hokar Nosh farmaya tha. Hazrat Abbas Bin
Abdul Muttalib Razi Allahu anhu ne farmaya ke
“GHUSL
karne wale ko Mai Ijazat nahi deta ke Zamzam ka pani istemal kare ye Wuzu Karne
wale ke liye aur Peene wale ke liye hai. Hazrat Abbas Bin Abdul Muttalib
Chaunke Zamzam ka paani pilane ke zimmedar the Isliye Unho ne Haj ke mauqe par
Ap sallallahu alaihi wasallam se Ijazat leli thi ke MINAA ke Ayyam me Raat ko
Makkah Muazzam me reh kar Hujjaj jo pani pilane ki Khidmat Anjaam den ( aur
Rami din ko kisi waqt karliya karen)
(AKHBAAR E
MAKKAH)
No comments:
Post a Comment